VISHWA VIDHAATA movie

VISHWA VIDHAATA movie - Kal Nahin Tha Voh Kya lyrics

Kal nahin tha voh kya hai aaj yeh

Keh gayi yeh hawaayein kya mujhe

Kahin yeh khwaab to nahin

Kahin yeh pyaar to nahin

Hardam aas ho gayi kyoon mann mein

Kal nahin tha voh kya hai aaj yeh

Keh gayi yeh hawaayein kya mujhe

Yeh kya haal ho gaya

Mujhko yeh kya ho gaya

Hardam aas ho gayi kyoon mann mein

Hai khuda bhi kahan maa ki mamta bina

Swapn aate nahin pyaar jaage bina

Hai kahan yeh mohabbat chaahaton ke bina

Dhadkanon ki zubaan dhadkanon ne suni

Uth raha hai dhuaan aag to hai vahin

Pyaar milta jahan par zindagi hai vahin

Kal nahin tha voh kya hai aaj yeh

Keh gayi yeh hawaayein kya mujhe

Kahin yeh khwaab to nahin

Kahin yeh pyaar to nahin

Hardam aas ho gayi kyoon mann mein

Kal nahin tha voh kya hai aaj yeh

Keh gayi yeh hawaayein kya mujhe

Aasmaan hai jahan hai sitaarein vahan

Chaandni hai jahan chandra ma hai vahan

Manzilein hai vahin pe pyaar hota jahan

Pyaar ki raah mein aap jo mil gaye

Raah mein hazaaron deep kyoon jal gaye

Aaj kyoon mere mann mein phool khil gaye

Kal nahin tha voh kya hai aaj yeh

Keh gayi yeh hawaayein kya mujhe

Kahin yeh khwaab to nahin

Kahin yeh pyaar to nahin

Hardam aas ho gayi kyoon mann mein

Kal nahin tha voh kya hai aaj yeh

Keh gayi yeh hawaayein kya mujhe

Yeh kya haal ho gaya

Mujhko yeh kya ho gaya

Hardam aas ho gayi kyoon mann mein

Get this song at:  amazon.com sheetmusicplus.com

Share your thoughts

Comments