VEER ZAARA movie - Main Qaidi Number 786 lyrics
Main Qaidi number 786 jail ki salakhon se bahar dekh ta hoon.
Din, mahinein, saloon ko, yug mein badal te dekh ta hoon.
is miti se mere bauji ki kheton ki khushbu ati hai
yeh dhoop meri matti ki thandi chaas yaad dilati hai
yeh barish mere sawaan ke jhoolon ko sang sang lati hai
yeh saardi meri lodi ki aag sikh ke jati hai
woh kehta hai yeh tera desh nahi
phir kyun mere des jaisa lagta hai
woh kheta hai mein us jaisa nahi
phir kyun mujh jaisa woh lagta hai
mein kedi number 786 jail ki salakhon se bahar dekh ta hoon
sapno ke gawn se utri
ek nani pari ko dekh ta hoon
kehti hai khud ko Saamiya aur mujh ko Veer bulati hai
hai bilkul begani paar apno si zid woh karti hai
uski sachi baaton se phir jeene ko maan karta hai
uske kaasmon vado se kuch karne ko maan karta hai
Mein kedi number 786 jail ki salakhon se bahar dekh ta hoon
mere gawn ke raango mein lipti ek nayi Zaara ko dekhta hoon
Mere khwabon ko pura karte
khud ke khwab bhool chuki hai woh
mere logo ki sewa karte
apne logo ko chor chuki hai woh
uska daaman aab khushion se bharne ko jee karta hai
uske leya ek aur zindagi jeene ko jee karta hai
Woh khete hai ke mein, mera desh uska nahi
phir kyun mere ghar woh rehti hai
woh kehte hai ke mein us jaisa nahi
phir kyun mujh jaisi woh lagti hai
mein kedi number 786 jail ki salakhon se bahar dekh ta hoon
Woh khete hai ko woh koi nahi teri
phir kyun mere liye dunya se woh larti hai
woh khwta hai ke mein us jaisa nahi
phir kyun mujh jaisi woh lagti hai
Posted By : Babydoll
Thanks to Mohitdeep for these lyrics
Thanks to sam for correcting these lyrics
Thanks to chandan das for correcting these lyrics
Thanks to radrocks for correcting these lyrics