UDIT NARAYAN - Phir Bhi Dil Hai Hindustani lyrics
Hum logon ko samajh sako to
Hum logon ko samajh sako to samjho dilbar jaani
Jitna bhi tum samjhoge utni hogi hairaani
Hum logon ko samajh sako to samjho dilbar jaani
Jitna bhi tum samjhoge utni hogi hairaani
Apni chhatri tumko dedein kabhi jo barse paani
Kabhi naye packet mein bechein tumko cheez puraani
Phir bhi dil hai hindusatni
Phir bhi dil hai hindustani
Phir bhi dil hai hindusatni
Phir bhi dil hai hindustani
Thode anari hain thode khiladi
Ruk rukke chalti hai apni gaadi
Thode anari hain thode khiladi
Ruk rukke chalti hai apni gaadi
Humein pyaar chahiye
Aur paise bhi
Hum aise bhi hain
Hum hain vaise bhi
Hum logon ko samajh sako to samjho dilbar jaani
Ulti seedhi jaisi bhi hai apni yehi kahaani
Thodi hummein khushiyaan bhi hain
Thodi hai nadaani
Thodi hum mein sachchaai hai
Thodi beimaani
Phir bhi dil hai hindusatni
Phir bhi dil hai hindustani
Phir bhi dil hai hindusatni
Phir bhi dil hai hindustani
Aankhon mein kuchh aansoo hain kuchh sapne hain
Aansoo aur sapne donon hi apne hain
Aankhon mein kuchh aansoo hain kuchh sapne hain
Aansoo aur sapne donon hi apne hain
Dil dukha hai lekin toota to nahin hai
Umeed ka daaman chooka to nahin hai
Hum logon ko samajh sako to samjho dilbar jaani
Thodi majboori hai lekin thodi hai manmaani
Thodi tu tu main main hai aur thodi kheecha taani
Hum mein kaafi baatein hain jo lagti hain deewani
Phir bhi dil hai hindusatni
Phir bhi dil hai hindustani
Phir bhi dil hai hindusatni
Phir bhi dil hai hindustani
Dil hai hindusatni
Phir bhi dil hai hindustani
Phir bhi dil hai hindusatni
Phir bhi dil hai hindustani