NAYEE PADOSAN movie - Ek Bechaini lyrics
Song By SHANKAR MAHADEVAN, VIJAY PRAKASH, AND NEHA RAJPAL
Shankar:
Ek bechaini ek betaabi chhaayi hai
Ho, ek bechaini ek betaabi chhaayi hai
Nayi padosan jab se rehne aayi hai
Ho, ek bechaini ek betaabi chhaayi hai
Nayi padosan jab se rehne aayi hai
Mukhda hai gora gora, naina hai kaale kaale
Jisko bhi hankse dekhe, usko paagal kar daale
Woh mere dil mein samaayi hai
Nayi padosan jab se rehne aayi hai
Vijay:
Haan, hai ang ang mein jaltarang
Swar mein bajti shehnaai
Har saaz mein saje geet raag
Jab leti hai angdaayi
Hai ang ang mein jaltarang
Swar mein bajti shehnaai
Har saaz mein saje geet raag
Jab leti hai angdaayi
Sundari, sundari
Shankar:
Woh sapnon mein aake jagaaye
Pyaar mein paagal mujhko banaaye
Palkein jhuka ke door se dekhe
Lekin mere paas na aaye
Uski chaalon mein masti, uski baaton mein jaadu
Jab se usko dekha hai, main tab se hoon beqaabu
Oh meri hai sab se paraayi hai
Nayi padosan jab se rehne aayi hai
Vijay:
Aa… boli mein uski veena ki taan
Adhron pe uske sargam hai
Choodi mein uski khan khan ki pyaas
Paayal mein uske chhan chhan hai
Boli mein uski veena ki taan
Adhron pe uske sargam hai
Choodi mein uski khan khan ki pyaas
Paayal mein uske chhan chhan hai
Sundari…
Shankar:
Woh meri yaadon ki dulhaniya
Aayi zameen pe banke chandaniya
Neha:
Ho, deewaanon sa haal ho uska
Jab jab chhanke meri painjaniya
Shankar:
Main uska pehla aashiq, woh meri prem kahaani
Uspe ye jaan luta doon, woh hai meri zindagaani
Oh mushkil badi ab judaai hai
Nayi padosan jab se rehne aayi hai
Nayi padosan nayi padosan, nayi padosan nayi padosan
Vijay:
Ni ni pa ma re sa, hai ang ang mein jaltarang
Swar mein bajti shehnaai
Har saaz mein saje geet raag
Jab leti hai angdaayi
Hai ang ang mein jaltarang
Swar mein bajti shehnaai
Har saaz mein saje geet raag
Jab leti hai angdaayi
Bekaar ki yeh zid teri hai
Shankar:
Arre nayi padosan meri hai
Vijay:
Yeh waqt ki hera pheri hai
Shankar:
Woh nayi padosan meri hai
Vijay:
Na is mein zara ab deri hai
Shankar:
Arre nayi padosan meri hai
Vijay:
Woh meri hai
Shankar:
Woh meri hai
Vijay:
Meri hai
Shankar:
Meri hai
Vijay:
Woh meri hai
Shankar:
Meri hai
Vijay:
Woh meri hai
Shankar:
Arre meri hai
Vijay:
Woh meri
Shankar & Vijay:
Meri meri meri meri meri meri