MOHAMMAD RAFI

MOHAMMAD RAFI - Yeh Kaise Duniya Wale Hein lyrics

Likhi Hai Yeh Vidhata Ne,

Qismat Gareeb Ki,

Maati Ke Mol, Bikthi Hai,

Azamat Gareeb Ki..

Yeh Kaise Duniya Wale Hein,

Tan Ujale Hein Man Kaale Hein,

Yeh Kaise Duniya Wale Hein,

Tan Ujale Hein Man Kaale Hein,

Yeh Kaise Duniya Wale Hein..

Jab Kisi Gareeb Ke Aangan Mein,

Koyi Khilke Kali Muskaati Hai,

Jab Kisi Gareeb Ke Aangan Mein,

Koyi Khilke Kali Muskaati Hai,

In Paapi Duniya Walon Ki, (2)

Aankhon Mein Hawas Aajathi Hai, (2)

Yeh Sukhi Roti ke Badle,

Tan Badan Khareedne Wale Hein,

Yeh Kaise Duniya Wale Hein..

Jab Laaj Ki Chudi Tootthi Hai,

Sindoor Ka Rang Pighalta Hai,

Jab Laaj Ki Chudi Tootthi Hai,

Sindoor Ka Rang Pighalta Hai,

Us Waqt Gareeb Ke Sine Mein, (2)

Ik Jwala Mukhi Jal Uttha Hai, (2)

Phir Khud Hi Zubaan Ban Jaathe Hein,

Yeh Hoton Ke Jo Taale Hein,

Yeh Kaise Duniya Wale Hein..

Bhagwaan Bata Kyon Dhan Wale,

Nirdhan Par Aisa Zulm Kare,

Bhagwaan Bata Kyon Dhan Wale,

Nirdhan Par Aisa Zulm Kare,

Kyon Ablavon Ki Maang Mein Yeh, (2)

Sindoor Ke Badle Raakh Bhare, (2)

Yeh Aap Hi Izzat Lut The Hein,

Jo Izzat Ke Rakhwale Hein,

Yeh Kaise Duniya Wale Hein,

Tan Ujale Hein Man Kaale Hein,

Yeh Kaise Duniya Wale Hein..

Get this song at:  amazon.com sheetmusicplus.com

Share your thoughts

Comments