MOH. RAFI

MOH. RAFI - Deewana aadmi Ko lyrics

deewana aadmi ko banaati hain rotiyaa - 2

khud naachti hain sabko nachaati hain rotiyaa - 2

deewana aadmi ko...

budhaa chalaaye thele ko phaakon se jhul ke - 2

bachhaa uthaaye bojh khilaunon ko bhuul ke - 2

( dekhaa na jaaye jo ) - 2

so dikhaati hain rotiyaa - 2

deewana aadmi ko...

baithi hai jo chehare pe mal ke jigar kaa Ku

duniyaa buraa kahe inhe par main to ye kahu - 2

kothe pe baith o kothe pe baith aankh ladaati hain rotiyaa - 2

deewana aadmi ko...

kehtaa tha ik faqeer ki rakhna zara nazar

roti ko aadmi hi nahi khaate bekhabar - 2

(aksar to aadmi ko ) - 2 khaatii hain rotiyaa - 2

deewana aadmi ko...

tujhko pate ki baat bataau main jaan-e-man

kyu chaand par pahunchane ki insaan ko hai lagan - 2

(insaan ko chaand mein ) - 2

nazar aati hain rotiyaa - 2

deewana aadmi ko...

Get this song at:  amazon.com sheetmusicplus.com

Share your thoughts

Comments