LATA MANGESHKAR

LATA MANGESHKAR - Kis liye maine pyar kiya lyrics

Kis liye maine pyar kiya

Dil ko yoon hi beqarar kiya

Shaam savere teri raah dekhi

Raat din intezaar kiya

Aankhon mein maine kajal daala Maathe pe bindiya lagayi

Aise mein tu aa jaaye to kya ho raam duhai

Chupke mann mein armaanon ne li aisi angdai

Koi dekhe to kya samjhe ho jaaye rusvaai

Maine kyun singaar kiya

Aaj woh din hai jiske liye main tadapi banke radha

Aaj mere mann ki bechaini badh gayi aur zyaada

Pyar mein dhoka na kha jaaye yeh mann seedha saada

Aisa na ho jhootha nikle aaj milan ka vaada

Maine kyun aeitbaar kiya

Dil ko yoon hi beqarar kiya

Shaam savere teri raah dekhi

Raat din intezaar kiya

Kis liye main pyar kiya

Posted By : Bharati Singh

Get this song at:  amazon.com sheetmusicplus.com

Share your thoughts

Comments