LATA MANGESHKAR, BHUPINDER - Honthon Mein Aisi Baat lyrics
Lata:
Honthon mein aisi baat
(Honthon mein aisi baat main dabaake chali aayi
Khul jaye wohi baat to duhaayi hai duhaayi) -2
Haan re haan, baat jismein pyaar to hai, zaher bhi hai hay
Honthon mein aisi baat main dabaake chali aayi
Khul jaye wohi baat to duhaayi hai duhaayi
Ho shaloo
Raat kaali nagan si hui hai jawaan -2
Ho~, hay daiyya kisko dasega yeh sama
Haan, hay daiyya kisko dasega yeh sama
Jo dekhoon peechhe mudke (hoy)
To pag mein payal tadpe (hoy)
Aage chaloon to dhadakti hai sari angnayi
Honthon mein haay
Honthon mein aisi baat main dabaake chali aayi
Khul jaye wohi baat to duhaayi hai duhaayi
Haan re haan, baat jismein pyaar to hai, zaher bhi hai hay
Honthon mein aisi baat main dabaake chali aayi
Khul jaye wohi baat to duhaayi hai duhaayi
Bhupinder:
Ho shaloo
Lata:
Aise mera jwala sa tan lehraye -2
Ho~, lat kahin jaye ghoonghat kahin jaye
Haan, lat kahin jaye ghoonghat kahin jaye
Arrey ab jhumka toote (hoy)
Ke meri bindiya choote (hoy)
Ab to banke qayamat leti hoon angdayi