LATA MANGESHKAR AND SURESH WADKAR

LATA MANGESHKAR AND SURESH WADKAR - Khaamosh Sa Afsaana lyrics

Da da da da di da da, da da da da di da da - 4

Khaamosh sa afsaana paani se likha hota - 2

Na tumne kaha hota, na humne suna hota

Khaamosh sa afsaana

La la la la, la la la la

Dil ki baat na poochho, dil to aata rahega - 2

Dil bahekaata raha hai, dil bahekaata rahega

Dil ko tumne, oh, kuch samjhaaya hota

Khaamosh sa afsaana paani se likha hota

Na tumne kaha hota, na humne suna hota

Khaamosh sa afsaana

Sehme se rehte hai jab yeh din dhalte hai - 2

Ek diya bujhta hai, ek diya jalta hai

Tumne koi, oh, deep jalaaya hota

Khaamosh sa afsaana paani se likha hota

Na tumne kaha hota, na humne suna hota

Khaamosh sa afsaana

Kitne saahil dhoonde, koi na saamne aaya - 2

Jab majdhaar mein doobe, saahil thaamne aaya

Tumne saahil, oh, pehle bichhaaya hota

Khaamosh sa afsaana paani se likha hota

Na tumne kaha hota, na humne suna hota

Khaamosh sa afsaana

Get this song at:  amazon.com sheetmusicplus.com

Share your thoughts

Comments