Kishore Kumar - Zaroorat hai Zaroorat Hai lyrics
zaroorat hai zaroorat hai, saKht zaroorat hai!
(zaroorat hai zaroorat hai zaroorat hai
ek shrimati ki, kalaavati ki, sevaa kare jo pati ki ) - 2
zaroorat hai zaroorat hai zaroorat hai
(hasin hazaaron bhi hoN khaDe, magar usi par nazar paDe) - 2
ho zulf gaalon se khelti, ke jaise din raat se laDe
ho ho ho ho
adaaoN mein bahaar ho, nigaahoN pe Khumaar ho
qubool meraa pyaar ho to kyaa baat hai
zaroorat hai zaroorat hai zaroorat hai...
(jhaTak ke gesoo jahaaN chale, to saath mein aasmaaN chale) -2
lipaT ke kitne bhi paaNv se, yah poochhte ho kahaaN chale
ho ho ho ho
pyaar se jo kaam le, hans ke salaam le
vo haath meraa tham le, to kyaa baat hai
zaroorat hai zaroorat hai zaroorat hai...
(itar mein saaNsen basi basi, vo mastiyoN mein rasi rasi) - 2
zaraa si palken jhuki jhuki, bhaven ghaneri kasi kasi
ho ho ho ho
phoolon mein gulaab ho Khud apnaa javaab ho
vo pyaar ki kitaab ho to kyaa baat hai
zaroorat hai zaroorat hai zaroorat hai...
haaN haaN! shrimati ki
ho ho ! kalaavati ki
sevaa kare jo pati ki
zaroorat hai zaroorat hai zaroorat hai
saKht zaroorat hai!