Kishore Kumar

Kishore Kumar - Raahi Naye-Naye Rasta Naya-Naya lyrics

raahi naye-naye rasta naya-naya

tum na badalein main na badala sab-kuchh badal gaya

raahi naye-naye

yaad suhaani bachapan ki patthar pe khinchi rekha

pahalaa-pahala pyaar dilon se mitate nahin dekha

tuufaan samay ke bujha na sake dip jala to jala

tum na badalein

vaqt ke saath badal jaaye use pyaar nahin kahate

jo har mod pe mud jaaye use yaar nahin kahate

yaar vahi jo saathi ban kar dukh mein saath chala - 2

tum na badalein

Get this song at:  amazon.com sheetmusicplus.com

Share your thoughts

Comments