INDIAN movie

INDIAN movie - Thaath Nawaabi lyrics

Song By ANAND RAJ ANAND AND ALKA YAGNIK

--MALE--

Thaath nawaabi, baat nawaabi

Waah teri kya baat hai, hoye, hoye, hoye, hoye

Thaath nawaabi, baat nawaabi

Waah teri kya baat hai

Chunnu ki mummy, Raju ki maami

Waah teri kya baat hai

Hey, rootho nahin aise yaar humse

Karo kuch pyaar vyaar humse

Dil deewane ka todo na

Kisko padhaaogi chehraa kitaabi

Thaath nawaabi, baat nawaabi

Waah teri kya baat hai

Chunnu ki mummy, Raju ki maami

Waah teri kya baat hai

Oh jaane jaana, maine yeh maana

Der se aana mera rog hai puraana

--FEMALE--

Dekho ji peeche bilkul na aana

Main na maanoongi na na nahin nahin na na

--MALE--

Maan jaao na jaaneman

Sab tumhaara hai tan mann dhan

Bin tumhaare hai kya mera

Muqaddar ke taale ki tum hi ho chaabi

Thaath nawaabi, baat nawaabi

Waah teri kya baat hai

--FEMALE--

Oye, hoye, hoye, hoye, hoye

Thaath nawaabi, baat nawaabi

Waah teri kya baat hai

--MALE--

Ho, tumse mohabbat kitni hai humko

Yeh jaanta hai saara zamaana

--FEMALE--

Haan, mujhko bataao, main na rahi to

Kya karoge yeh saara zamaana

--MALE--

Main yeh maanta hoon dilbar

Chot tumko di hai dil par

Maafi maang loonga ghar par

Raste pe tu na karo yeh kharaabi

--FEMALE--

Sau baatein karna, aur ek nibhaana

Theek hi to hai mera rooth jaana

--MALE--

Maana tadapti ho, par sab samajhti ho

Kitni mahaan ho tum jaane jaana

--FEMALE--

Chhodo chhodo chhodo naatak

Yun sataaoge tum kab tak

--MALE--

Maan jaaogi na jab tak

Dekho to mausam hai kitna gulaabi

Thaath nawaabi, baat nawaabi

Waah teri kya baat hai

--FEMALE--

Haaye, haaye, haaye, haaye, haaye

Thaath nawaabi, baat nawaabi

Waah teri kya baat hai

--MALE--

Haaye, Chunnu ki mummy, Raju ki maami

Waah teri kya baat hai

Hey, rootho nahin aise yaar humse

Karo kuch pyaar vyaar humse

Dil deewane ka todo na

Kisko padhaaogi chehraa kitaabi

Get this song at:  amazon.com sheetmusicplus.com

Share your thoughts

Comments