CHUNKY PANDE, GOVINDA, KUMAR SANU

CHUNKY PANDE, GOVINDA, KUMAR SANU - Bade Kaam Ka Badar lyrics

meharbaan kadardaan sahibaan

jo log chori karte hain seena jori karte hain

topi pehan ke dhoka dete hain aur paisa lekar jaan lete hain

unse toh bhala mera bandar hain jo apna aur apne ustaadon ka pet bharta hain

aur chain ki zindahi basar karta hain

toh bachha log bajaaon mere bandar ke naam pe taali

bade kaam ka bandar - 2

maare toh dharmindar

hey naache toh jitendar

roye toh rajendar

gaur se dekho har hero ki khubi iske andar

jo de uska bhi bhala jo na de uska bhi bhala - 4

bade kaam ka bandar - 2

maare toh dharmindar

hey naache toh jitendar

roye toh rajendar

gaur se dekho har hero ki khubi iske andar

taaiz bandar ke saat baal ka taaiz

ek baal seer ka, ek eyebrow ka, ek moochh ka, ek daadi ka, ek chhati ka, ek pet ka, ek gate ka

baaki idhar udhar ka hai

magar bunnu

munnu

public ke dil mein sawal aata hain

kya aata hain

yeh taawiz kis kis kaam aata hain

abhi batata hain

jo ladki se sharmata hain shaadi se ghabrata hain

joru se saamne aate hi sar jiska jhuk jaata hain

mera yeh taawiz jawaan mard ban jaata hain

bhook yeh jagata hain, neend yeh badhata hain

naukri dilata hain, lottery lagata hain

achhe numbaro se bachha paas ho jaata hain

aata hai kitne kaam ek rupaya hain daam

woh bhi mehangai badh jaane ki wajah se warna

aathana tha na munnu

jo le uska bhi bhala jo na le uska bhi bhala - 4

bade kaam ka bandar - 2

maare toh dharmindar

hey naache toh jitendar

roye toh rajendar

gaur se dekho har hero ki khubi iske andar

bunnu

munnu

humne duniya ko taawiz diya

magar bandar ne hamare liye kya kiya

kya kiya

baap ne hume ghar se nikala nikala

band kiya kismat ka tala tala

chhin liya muh se niwala niwala

banke baap bandar ne pala pala

ab bolo bachho bandar achha ke baap achha

bandar

laut chalo ghar laadlo - 2 binti meri maan lo

tum hi meri aankhon ke taare

tum hi ho jeene ke sahare

haal-e-dil mera jaan lo

laut chalo ghar laadlo - 2

ghar ki khidkiyaan tumhe pukare

dhundh rahi tumko deewaren

kaha gayi mere ghar ki bahaaren

izzat na neelam karo

laut chalo ghar laadlo - 2

toda nahi tala hain daka nahi dala hain

chori nahi ki hain mehnat se kamaya hain

dhanda yeh jamaya hain mushkil se kutch paya hain

haai haai ... munnu jara dhund toh re surr kaunsa tha re

haa

jo le uska bhi bhala jo na le uska bhi bhala - 2

baapu tere pyar se bhar aaya mera bhi gala - 2

accha hain je maan gaye warn toh cut jaata gala - 2

Get this song at:  amazon.com sheetmusicplus.com

Share your thoughts

Comments