ANURADHA movie - Bahut Din Hue lyrics
Song By LATA MANGESHKAR, MAHENDRA, MANNA
mahendra:
bahut din hue taaron ke desh mein
chanda ki nagariya mein rehtey the ik raja
baj raha tha durr durr unki jay ka baaja
baithe the partaapi raaja vaise unki raani
jaisa roop rang paaya vaisi gyaani daani
dono ki dulaari ik bitiya thi pyaari
phool jaisi naazuk thi vo naam tha phool kumaari
andhi takdeer ne andher kiya bhaari
chheeni uske honthon se hansi vo pyaari pyaari
phool kumaari bhool gayi hasna muskuraana
loot liya bhaag ne kushi ka vo khazaana
magar ye kaun, ye kaisi aawaaz ?
mannaa:
leke dil ka saaz ham geet gaane aa gaye
he, dil ke kaliyon ne kaha din suhaane a gaye
gam ke baadal hat gaye khul gaya neela gagan
har kali ko pyaar se chhu gayi suraj kiran
muskura lo jhoom lo o zamaane aa gaye
leke dil ka saaz ham geet gaane a gaye
lataa:
sama albela din hain milan ke
preet leke aayi dekho meet mere man ke
piya-piya gaaye jiya naache man mora
meri unki jodi jaise chaand aur chakora
nainon mein chhupaye phiru sapne sajan ke
sama albela ...
jinhen maine dil diya vo bhi rahe mere
man mein manaau main saanjh aur savere
jeete ji na tootegi ye bandhan jeevan ke
sama alabela ...
mahendra:
jaise unke achhe din phir se laut aaye
maalik aaise sabki sune sabke din lautaaye