Anandmurti Gurumaa

Anandmurti Gurumaa - Nazron se dekh pyaare lyrics

sabh cheez sabh jagah mein, ishwar sama raha hai

Prabhu ne jabi bichara, jag ka hua pasara

chaudehn bhuvan vo nyara, man se bana raha hai

Nazron se dekh pyaare, prabhu kya dikha raha hai

sabh cheez sabh jagah mein, ishwar sama raha hai

Kahin nar woh bana naari, kahin dev-daitya bhaari

Pashu-pakshi roop dhaari ban-ban ke aa raha hai

Nazron se dekh pyaare, prabhu kya dikha raha hai

sabh cheez sabh jagah mein, ishwar sama raha hai

Bhumi wohi agan hai, paani wohi pawan hai

Suraj wohi gagan hai, nir-gun-guna raha hai

Nazron se dekh pyaare, prabhu kya dikha raha hai

sabh cheez sabh jagah mein, ishwar sama raha hai

Tajj bhed-bhaav man mein, ban mein wohi hai man mein

Brahmanand jyon swapan mein, rachna racha raha hai

Nazron se dekh pyaare, prabhu kya dikha raha hai

sabh cheez sabh jagah mein, ishwar sama raha hai

Thanks to Ashish

Get this song at:  amazon.com sheetmusicplus.com

Share your thoughts

Comments