Anandmurti Gurumaa - Kaun hoon main lyrics
Ek dhaga hai dil se hothon tak,
jahan jeevan ka rehasya buna hai
shabda todte hai dhage ko
par maun mein, rehasya bolte hain
Swapna mein mera priyatam aaya
mere tan mein khojta raha, prem ki awastha ko
jab use na mili to
usne nikala apna khanjar
aur vaar kiya mere dil par
Aae mere prem,
mein tumhare sang ek hona chahta hoon
mein ek pagal hoon
baandh lo, apne baalon ki latohn se mujhko
agar apne aapko mein poora samarpit na karoon
to karna shikayat
Tum sankuchit ho gaye ho
pavitra pustak haathon mein le apne
aao, aur padho kitaaab
jo dil mein rakhta hoon apne
Chalna seekho unke saath, jo raah jante hain
Tum sangitagya ho hridai ke
bharo mujhe apne divya sangeet ke saath
Tum ho shukra ki tarah chamakdaar
chand se adhik roshan
ushmit karo, mujhe apni drashti se
taanki meri aankhein chamak sakein, tumhare prem mein
kya dekhte nahin tum
tumhari aatma hai 'musa' jaisi
sadharan gadariye mat raho
chodo jhund ko peeche
aur chalo nange paanv
'Sinayee' parvat ki pavitra dharti par
tumhari chadi nahi ho sakegi sahara is path par
tum sirf satyake sahare hi ho sakoge
Aae premiyon,
prem tumhare kadmo ke neeche khazana bicha dega
Sangeetkaron,
prem tumhare dhol taashon mein sona bhar dega
Aae pyaason,
prem tumhare sukhe registan ko badal dega jannat se bagh mein
Triskriton,
prem tumhare liye khol dega, dwaar maharaja ke
Rasayanvidon
prem rasayan tumhare kaidkhane ko divya manch mein badal dega
Paapiyon
prem tumhari ashradha ko vishvas mein badal dega
Duniya ke rajaon
prem ke hathon mein tum, mom ki tarah pighal jaoge
Un pyaaso ke liye jo samarpan ko taiyaar hain
prem veh shraab dega, jo unke andheron ko badal dega, divya drishti mein
krurta karuna mein
aur raakh keemti bhasm mein
Ek din tumhara dil tumhe
le jaiga priyatam tak
Ek din tumhari rooh
le jaigi tumhe priyatam tak
Apne dard mein tum kho na jana
jaano ki ek din yahi dard
dawaa ban jaiga.
Baagh mein apne premi sang ghoomte hue
maine ek phool dekha, aur dhyan hatt gaya
mere priyatam ne mujhe chidakte hue yeh kaha,
kaise dekh sakte ho tum gulab ko
jab mera chehra tere itne kareeb hai.
Hai nahi sharab kuch tere bina,
laabh kya mala ka jo tera haath na ho
door se tumne mujhe nachne ko kaha
par jab tum manch na taiyaar karo
aur uthao na parda
mere priyatam, kaise nachoon mein
pehle pehal jab, prem ne dil par kabza kiya
mere rudan ne rakha, mere padosiyon ko jagaa kar, poori raat
ab jab mera prem gehra ho gaya hai
mera rudan thehar gaya hai
jab aag lagti hai to dhuaan ghul jata hai
<br />
<br />
Thanks to Ashish