Anandmurti Gurumaa - Justaju lyrics
Priyatam tum hi meri mukti ho
mere saathi, meri sharan, mere marg-darshak
par tum hi ho
jo todte ho dil mera
tum mere taaranhaar ho, meri aatma
vijayi bhi tum, paraajit bhi tum
kholo mere hridai ko
aur saaf karo ise
sabhi rehasyon se
Tum ho kripa prakash mein lipte hue
daya bhi, krodh bhi
ek boond bhi, aur mahasagar bhi
kab tak tum tadpaoge,
mere surya, meri asha ki dhadhakti kiran
mujhe pyasa na marne do
ki tum hi ho mere jal aur pyala bhi
tum hi ho meri dawaa aur dard bhi
Mukta karo is deh ke jaal se
aur rakh lo, mera dil apne paas hi
Woh vaapas aa gaya hai
woh ek jo, kabhi gair-haazar nahin tha
jal kab lehar se alag hua
itra ka saar, jiski ham hain khushboo
kya itra aur khusboo, kabhi juda hue
Kabhi asha mat chodo,
jab priyatam tumhein door kare
agar veh dwaar band kare
mat jaao, dherya dharo, aur intzaar karo
yeh tumhara dherya
aur sankalpa hi hai
jo use vaapas bulayega
agar veh tumhare saare marg band kare
pakka jaano, veh tumhe gupta marg dikhayega
doosrohn se jo ho agyaat
Utho, or parikrama karo poore satguru ki
kyo chipak rahe ho dharti se
Ek bheege phool ki tarhan,
ashirwaad kriya mein hai
Agar yeh main, main nahi hai
to kaun hoon mein
agar yeh 'main' nahi bolta hai,
to kaun bolta hai
Agar yeh 'main' sirf libaas hai,
to main kisko dhak rahaa hoon
<br />
<br />
Thanks to Ashish