Anandmurti Gurumaa - Iltaja lyrics
Tummein jo prem na mehsoos kar sakein, sote raho
Tummein jo prem ki peeda na mehsoos kar sakein
hirdai mein kabhi prem jwaar na uthe, sote raho
Jo samaagam ko tadapte na hon
Jo lagaatar puchte na rehte hon, kahan hai woh, sote raho
Prem path sabhi dharm sampradayon se baahar hai
Agar dhokha aur paakhand, hai tumhara dhang, sote raho
Agar tum pighalte nahin, tambe ki tarahn,
tanki rasaynik sona bana sake, sote raho
Agar tum sharabi ki tarahn girte ho baaein-daaein
Agyan ki raati beet gayi, prarthna ka samay ho chuka, sote raho
Kismat ne meri neend ley lee hai,
Par chunki abhi tumhari nahin lee hai, jawaan aadmi, sote raho
Ham to gir gaye hain, prem ke haathon mein
Tum abhi tak, tumhare haath hi ho, sote raho
Mein veh hoon jo mast hai prem mein
Tum abhi bhog bhojan mein mast ho, sote raho
Maine to apna sir de diya hai
Aur kehne ko kuch nahin
Par tum to gher sakte ho, swayam ko shabdon ke libaas mein, sote raho
Jab mein tumhara chehra dekhta hoon
band kar leta hoon apni ankhein
Mein tumhare wajood se bhara hoon
mein hoon sharabi tere hone se
Mil sake mujhe solomaan ki mohar
mein pighal gaya hoon mom ki tarahn
Jab tumhara chehra dekhta hoon
mein apni dradta samarpit karta hoon
aur ban jata hoon aah tere hothon ki
Tum mere haath mein the
aur mein dhoondta raha tumhein, andhe aadmi ki tarahn
Mein tha tere haathon mein
par sawaal puchta raha
Mein zarur raha hoon anjaan ya sharabi
apna hi swarn churata tha
Mein zarur raha hoon, pagal ki ghus kar
apne hi chameli ke baag se churata raha
Mein tumhari marzi par bahut maroda gaya hoon Shams-e-Tabriz ke
par mein sukhi hoon apne dukhohn mein
utsav ki shuruaat mein, badte hue chaand ki tarahn
Jab prem achanak se aaye,
aur khatkhataaye tumhari khidki
daudo aur pehle usey bheetar lo
aur tark ka darwaza band karo
zara sa ishara bhi prem ko door bhej dega
us dhooein ki tarahn,
jo duba deta hai taazgi, subho ki hawaa ki
Tark ko prem sirf itna hi keh sakta hai
raah mein rukawat hai tum nikal na sakoge
par premi ko hazaaron aashirwad bhent karta hai
Iske pehle ki man uthe,
pehla kadam le, prem saatvein swarg tak pahunch jata hai
Iske pehle ki man soche, kaise
prem pavitra parvat chad chuka hota hai
Ab mujhe bolna band karna chahiye
aur prem ko maun ke gharonde se bolne dena chahiye
<br />
<br />
Thanks to Ashish