Anandmurti Gurumaa - Aisi kari gurudev kripa lyrics
Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya
Guru kirpa ke bina adhyatmik jagat mein chalna mushkil hai,
tabhi to Kabir Sahib kehte:
"Kabira te nar andh hain, guru ko kehte aur
Hari ruthe guru thor hai, guru ruthe nahin thor"
Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya
Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya
Aisi kari gurudev kripa..................
Mein bhatak rahaa din raat sadaa
Jag ke in haar-bihaaran mein
Sapne sam jagat dikhaaye mujhe
Mere chanchal man ko modh diya
Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya
Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya
Aisi kari gurudev kripa..................
Koi shesh mahesh ganesh ratey
Koi pooje peer paigambar ko
Sab panth aur granth chudha kar ke
Ik ishwar syon chit jodh diya
Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya
Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya
Aisi kari gurudev kripa..................
Koi jaaye banaaras vaas kare
Koi dhoonde mathura nagri mein
Jag vyaapak roop dikhaaye mujhe
Mere bharam ka bhanda phodh diya
Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya
Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya
Aisi kari gurudev kripa..................
Kya karoon mein apne guru ko arpan
Koi vastu nahin teeno lokon mein
Brahmanand samaan na hoye koi
Dhanman ik laakh karodh diya
Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya
Aisi kari gurudev kripa, mere moh ka bandhan todh diya
Aisi kari gurudev kripa..................
<br />
<br />
Thanks to Ashish