ABHIJEET, SHREYA GHOSHAL

ABHIJEET, SHREYA GHOSHAL - Tumhein jo dekha lyrics

Abhijeet:

Tum bhi ho, main bhi hoon, paas aao, toh keh doon

Aakhir kyun pal yun diwaana main ho gaya

Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana -2

Jo hosh tha, woh toh gaya

Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo

Toh hoke beqaabu, dil kho gaya

Tumhein jo maine socha, tumhein jo maine maana

Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana

Jo hosh tha, woh toh gaya

Abhijeet:

Itni kyun, tum khubsoorat ho, ke sab ko hairat ho

Duniya mein sach-much hi rehti hai

Pariyon se bhi zyaada pyaari si ladki koyi

Haan itni kyun, bolo haseen tum ho, jo dekhein gum-sum ho

Dekho na main bhi hoon khoya sa

Behka sa mujhpe bhi chhaayi hai diwaangi

Tumhi ko maine puja, tumhi ko chaaha paana

Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana

Jo hosh tha, woh toh gaya

Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo

Toh hoke beqaabu, dil kho gaya

Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana -2

Jo hosh tha, woh toh gaya

Shreya:

Tum bhi ho, main bhi hoon, paas aao, toh keh doon

Tumne jo dekha toh kya jaane kya ho gaya

Jaane kyun, rehti hoon khoyi si, jaagi na soyi si

Ab dil mein armaan hai saanson mein toofaan hai

Aankhon mein khwaabon ki hai chaandni

Aa…jaane kyun, behka sa ye mann hai, mehka sa ye tan hai

Chalti hoon itraake, ithlaake, sharmaake

Balkhaake jaise koyi raagini

Tumhein jo maine samjha, tumhein jo pehchaana

Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana

Jo hosh tha, woh toh gaya

Abhijeet:

Badan ki ye khushboo, jataane lagi jaadoo

Toh ho hoke beqaabu, dil kho gaya

Both:

Tumhein jo maine dekha, tumhein jo maine jaana -4

Get this song at:  amazon.com sheetmusicplus.com

Share your thoughts

Comments